速報APP / 圖書與參考資源 / Aaiyt Qareema..Mushkil Kushaai

Aaiyt Qareema..Mushkil Kushaai

價格:免費

更新日期:2019-03-12

檔案大小:13M

目前版本:12.0

版本需求:Android 4.0.3 以上版本

官方網站:mailto:apex.soft786@gmail.com

Email:https://docs.google.com/document/d/1nP0Wyet3bmYUM-kq02UtNjFMafIjSGlezvm8BflipH8/pub

Aaiyt Qareema..Mushkil Kushaai(圖1)-速報App

Allah Taala nay Quran e Pak main Hazrat Younas A.S ki dua "La Ilaha illa Anta Subhanaka Inni Kunto Mina Zaalimeen" ko biyaan kiya hai. Indeed, Is aaiyt qareema kay perhnay say Allah museebat ko door kr daitay hain. Iss Aaiyt Qareema kay tufail Hazrat Younas A.S ko museebat say nijjjat ataa hoe. Imam Ahmad Hambal R.A , Timrzi, Nisaai aur Hakim nay is hadees pak ko rawaaiyt fermaya kay Hazrat Saad Bin Waqqas R.A say Huzoor Nabi e Kareem S.A.W nay Irshaad fermaya:

Aaiyt Qareema..Mushkil Kushaai(圖2)-速報App

"Kya main tumhain Allah Taala Ka Wo Ism e Azam Na bta doon kay jab wo iss say pookara jaye, ijabat kray aur jab oos say sawaal kiya jaye ataa fermaaye woh dua yeh hai Jo Hazrat Younas A.S nay teen baar taarikiyon main ki thee, "La Ilaha illa Anta Subhanaka Inni Kunto Mina Zaalimeen"....Kisi nay arz kiya Ya Rasool Allah S.A.W ! Yeh khas Hazrat Younas A.S kay liye tha ya sab Muslims kay liye hai.. Aap S.A.W nay fermaya, Kya tum nay Allah ka irshaad nahin suna keh 'Puss Hum nay Younas A.S ki dua qabool fermaaye aur usy gham say nijjat di aur youn hi Nijjat dain gay Emaan waalon ko'...."

Aaiyt Qareema..Mushkil Kushaai(圖3)-速報App

--Kitaab haaza main diye gye amliyaat o taaweezaat ko kernay ki aam ijazat hai

Aaiyt Qareema..Mushkil Kushaai(圖4)-速報App

--Aamil kay liye namaz e panjgaana ki paabandi zaroori hai

Aaiyt Qareema..Mushkil Kushaai(圖5)-速報App

--Yaqeen kamil, tawajjo aur yaqsooe ka hona zaroori hai

Aaiyt Qareema..Mushkil Kushaai(圖6)-速報App

--jhoot bolnay say ijtanaab kray aur hamesha sach bolay.

--Aamil kay liye Gosha Nasheeni aur uzlat ikhtiar kerni zaroori hai khasoosan amal perhnay aur likhnay kay waqt awaam aur Na mehram aurton aur larkon say ikhtilaat na rakhay .. Awam kay sath ikhtilaat say qalbi safaai qaaim nahin rehti aur na mehram aurton aur larkon kay sath nashist o berkhaast nafs e ammara ko aamaada e fitna kerti hai jis say baatni anwaar zaail hotay hain.

--Amaal o Wazaif kay sath darood paak ka perhna laazmi hai warna woh dua qabool nahin hoti aur na hi amal kaargar hota hai.